tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya

tarif us khuda ki jis ne jahan banaya
kaisi zamin banai kya aasman banaya

panw tale bichhaya kya khub farsh-e-khaki
aur sar pe lajawrdi ek saeban banaya

mitti se bel-bute kya khushnuma ugae
pahna ke sabz khilat un ko jawan banaya

khush-rang aur khushbu gul phul hain khilae
is khak ke khandar ko kya gulistan banaya

mewe lagae kya kya khush-zaeqa rasile
chakhne se jin ke mujh ko shirin-dahan banaya

suraj bana ke tu ne raunaq jahan ko bakhshi
rahne ko ye hamare achchha makan banaya

pyasi zamin ke munh mein meinh ka chuwaya pani
aur baadalon ko tu ne meinh ka nishan banaya

ye pyari pyari chidiyan phirti hain jo chahakti
qudrat ne teri un ko tasbih-khwan banaya

tinke utha utha kar lain kahan kahan se
kis khub-surati se phir aashiyan banaya

unchi uden hawa mein bachchon ko par na bhulen
in be-paron ka un ko rozi-rasan banaya

kya dudh dene wali gaen banain tu ne
chadhne ko mere ghoda kya khush-inan banaya

rahmat se teri kya kya hain nematen mayassar
in nematon ka mujh ko hai qadr-dan banaya

aab-e-rawan ke andar machhli banai tu ne
machhli ke tairne ko aab-e-rawan banaya

har chiz se hai teri karigari tapakti
ye karkhana tu ne kab raegan banaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close