ulTi har ek rasm-e-jahan-e-shuur hai

ulti har ek rasm-e-jahan-e-shuur hai
sidhi si ek ghazal mujhe likhni zarur hai

wahdat mein e'tibar-e-hudus-o-qidam nahin
tha jo butun mein ye wahi to zuhur hai

tarik wahi hai jis ne kiya kal ko ikhtiyar
yani haris-tar hai wahi jo subur hai

mutlaq yagangi hai to nazdik-o-dur kya
pahuncha hai jo qarib wahi dur dur hai

asl-e-hayat hai yahi kahte hain jis ko maut
jine ki aarzu hai to marna zarur hai

iqrar-e-bandagi hai khudai ka iddaa
ijz-o-niyaz kya hai kamal-e-ghurur hai

ummid kijiye agar ummid kuchh nahin
gham khaiye bahut jo khayal-e-surur hai

zulf-e-siyah se rukh-e-taban ka husn hai
kahte ho jis ko dew haqiqat mein hur hai

be-masiyat khazana-e-rahmat hai raegan
sach puchhiye to jurm na karna qusur hai

izhaar-e-jaan-e-pak hai jism-e-kasif se
be-pardagi hijab hai zulmat hi nur hai

bilittifaq hasti-e-wahmi hai niyyati
hushiyar hai jo nashsha-e-ghaflat mein chur hai

aala tha jis ka rutba wo asfal mein hai asir
saff-e-naal moqif-e-sadrussudur hai

hai rah ki talash to kar gumrahi talab
aaqil wahi hai aql mein jis ki futur hai

bedari-e-wajud hai khwab-e-adam mein gharq
lab band ho gae yahi shor-e-nushur hai

har chand shaghl-e-sher nahin aaj-kal zarur
nazrana pir ji ke liye kuchh zarur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close