tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge jis din tum aankhen khologe duniya ko jab dekhoge dhire dhire har jaanib sannata sa chha jaega so jaengi rafta rafta aawazen sab dekhoge khambe sare tut chuke hain chhappar girne wala hai buniyaadon par jine walo upar tum kab dekhoge shayad tum bhi mere jaise ho jaoge aankhon se sahme chehre gung zabanen zard badan jab dekhoge wo to bazigar hain un ka maqsad khel dikhana hai tum to farzane ho sahib kab tak kartab dekhoge pahle to sarsabz rahoge phir pile pad jaoge jis din tum bhi rang-nagar mein surkh koi lab dekhoge baithe baithe ghar mein yun hi pal pal ghut ghut marna hai ya nikaloge ghar aangan se jine ka dhab dekhoge kal tak jo shaffaf the chehre aawazon se khali the aadi-tirchhi surkh lakiren un par bhi ab dekhoge khambe to ye gad chuke hain rassi bhi ab tanenge ye bhi khel hi khulenge in ke bhi kartab dekhoge