jaane ab kho gaya kidhar pani tha kabhi aankh ka guhar pani maro patthar bhi to nahin hilta jam chuka hai ab is qadar pani aane wale hain kuchh hasin manzar tu abhi aankh mein na bhar pani tab ghazal ki gali pahunchta hai aankh se bah ke raat bhar pani na sameta gaya na kaam aaya main bhi hun jaise ret par pani meri hasti 'sahar' hai bas itni jaise sahra mein bund bhar pani