tarikiyon ka hum the hadaf dekhte rahe sayyare sab hamari taraf dekhte rahe tukde hamare dil ke pade the yahan wahan tha pattharon se jin ko shaghaf dekhte rahe barsi thi ek gham ki ghata is dayar mein chehron ka dhul raha tha kalaf dekhte rahe moti mile na khwab ki parchhaiyan milin aankhon ke khol khol sadaf dekhte rahe bujhti hui si ek shabih zehn mein liye mitti hui sitaron ki saf dekhte rahe sapne talash karte rahe zindagi mein hum ek ret ki nadi mein sadaf dekhte rahe goya tha ek aalam ka dariya chadha hua 'shahid' sifat-e-shah-e-najaf dekhte rahe