bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula shab hui phir anjum-e-rakhshanda ka manzar khula is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula garche hun diwana par kyun dost ka khaun fareb aastin mein dashna pinhan hath mein nashtar khula go na samjhun us ki baaten go na paun us ka bhed par ye kya kam hai ki mujh se wo pari-paikar khula hai khayal-e-husn mein husn-e-amal ka sa khayal khuld ka ek dar hai meri gor ke andar khula munh na khulne par hai wo aalam ki dekha hi nahin zulf se badh kar naqab us shokh ke munh par khula dar pe rahne ko kaha aur kah ke kaisa phir gaya jitne arse mein mera lipta hua bistar khula kyun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzul aaj udhar hi ko rahega dida-e-akhtar khula kya rahun ghurbat mein khush jab ho hawadis ka ye haal nama lata hai watan se nama-bar aksar khula us ki ummat mein hun main mere rahen kyun kaam band waste jis shah ke 'ghaalib' gumbad-e-be-dar khula