tarikiyon ke baad numud-e-sahar bhi ho ek subh-e-ba-jamal khudaya idhar bhi ho hon chaar-su bahaaron ke mausam saje hue girwida koi phulon ki chashm-e-bashar bhi ho ghunchon ki bud-o-bash se rahta ho ba-khabar duzdida-e-nazar bhi ho aur dida-war bhi ho jo rok de khizan ke thapede chaman se dur saya-fagan gulon pe ghanera shajar bhi ho bahte samundaron ki satah par na jae wo dekhe jo zer-e-ab bhi chahe bhanwar bhi ho hain zer-e-ab sare khazine chhupe hue dekhe jo zer-e-khak kuchh aisi nazar bhi ho wo tez-o-tund dhaaron mein bahne ke bawajud is bahr-e-be-karan ki wo rakhta khabar bhi ho sipi se moti chun ke dikhae 'ada' koi jauhar-shanas ho koi ahl-e-hunar bhi ho