rah-e-ulfat mein kahin aise jiya jata hai zakhm-e-dil zakhm-e-jigar aap siya jata hai jab kami dard mein hoti hai sanbhal jate hain yaad aa jae to phir dard saha jata hai hon agar pas bhi wo hota nahin gham ka bayan aise haalat mein kya kis se kaha jata hai bas yahi sochte rahte hain kahen ya na kahen ban kahe bhi to nahin hum se raha jata hai chaaragar koi na ho pas to kya kije gila chashm bhar aae to ashkon ko piya jata hai zindagi yunhi taraddud mein guzar jaegi zabt karna bhi to dushwar hua jata hai aap khamosh har ek baat pe ho jate hain kya kisi ko yunhi ilzam diya jata hai aise haalat mein kuchh faisla kije to 'ada' dil-e-nakaam yun badnam hua jata hai