tarikiyon ko aag lage aur diya jale ye raat bain karti rahe aur diya jale us ki zaban mein itna asar hai ki nisf shab wo raushni ki baat kare aur diya jale tum chahte ho tum se bichhad ke bhi khush rahun yani hawa bhi chalti rahe aur diya jale kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau phir to mera mazar bane aur diya jale suraj to meri aankh se aage ki chiz hai main chahta hun sham dhale aur diya jale tum lautne mein der na karna ki ye na ho dil tirgi mein gher chuke aur diya jale