waise main ne duniya mein kya dekha hai tum kahte ho to phir achchha dekha hai main us ko apni wahshat tohfe mein dun hath uthae jis ne sahra dekha hai bin dekhe us ki taswir bana lunga aaj to main ne us ko itna dekha hai ek nazar mein manzar kab khulte hain dost tu ne dekha bhi hai to kya dekha hai ishq mein banda mar bhi sakta hai main ne dil ki dastawez mein likha dekha hai main to aankhen dekh ke hi batla dunga tum mein se kis kis ne dariya dekha hai aage sidhe hath pe ek tarai hai main ne pahle bhi ye rasta dekha hai tum ko to is bagh ka nam pata hoga tum ne to is shahar ka naqsha dekha hai