tariq-e-ishq mein mujhko koi kaamil nahin milta

tariq-e-ishq mein mujh ko koi kaamil nahin milta
gae farhad o majnun ab kisi se dil nahin milta

bhari hai anjuman lekin kisi se dil nahin milta
hamin mein aa gaya kuchh naqs ya kaamil nahin milta

purani raushni mein aur nai mein farq itna hai
use kashti nahin milti ise sahil nahin milta

pahunchna dad ko mazlum ka mushkil hi hota hai
kabhi qazi nahin milte kabhi qatil nahin milta

harifon par khazane hain khule yan hijr-e-gesu hai
wahan pe bil hai aur yan sanp ka bhi bil nahin milta

ye husn o ishq hi ka kaam hai shubah karen kis par
mizaj un ka nahin milta hamara dil nahin milta

chhupa hai sina o rukh dil-sitan hathon se karwat mein
mujhe sote mein bhi wo husn se ghafil nahin milta

hawas-o-hosh gum hain bahr-e-irfan-e-ilahi mein
yahi dariya hai jis mein mauj ko sahil nahin milta

kitab-e-dil mujhe kafi hai 'akbar' dars-e-hikmat ko
main spencer se mustaghni hun mujh se mil nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close