tark kar diya humne husn par ghazal likhna

tark kar diya hum ne husn par ghazal likhna
waqt ka taqaza hai masalon ke hal likhna

hai badan to insan ka lazzaton ka ek daldal
lazzaton ke daldal mein ruh ko kanwal likhna

zindagi ke safhon par khun aur pasine se
aaj bas amal likhna phir hasin kal likhna

unche unche ohde hain hath kat bhi sakte hain
be-zamir logon par soch kar ghazal likhna

hadson mein bach jaana moajiza lage jab bhi
sans ki rifaqat ko nekiyon ka phal likhna

khud-nawisht jab apni tum 'shakil' likhoge
zindagi ke mathe ka ek ek bal likhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close