tum mera intikhab tumhaara main intikhab tum bhi ho la-jawab to main bhi hun la-jawab fursat us aadmi ko kahan hai gunah ki roti jis aadmi ko ho mushkil se dastiyab yun dil mein tere dard ko hum ne saja rakha mehrab mein ho jaise muqaddas koi kitab ab kya kisi se koi wafa ki rakhe umid har koi kar raha hai wafaon se ijtinab kin kin kharabiyon ka karun zikr main 'shakil' al-qissa-mukhtasar ki zamana hi hai kharab