taron se aur baat mein kamtar nahin hun main jugnu hun is liye bhi falak par nahin hun main sadmon ki barishen mujhe kuchh to ghulaenge putla hun khak ka koi patthar nahin hun main dariya-e-gham mein barf ke tude ki shakl mein muddat se apne qad ke barabar nahin hun main us ka khayal us ki zaban us ke tazkire us ke qafas se aaj bhi bahar nahin hun main main tishnagi ke shahr pe tukda hun abr ka koi gila nahin ki samundar nahin hun main kyun zahr zindagi ne pilaya mujhe 'mayank' wo bhi to jaanti thi ki shankar nahin hun main