main dhund lun agar us ka koi nishan dekhun buland hota faza mein kahin dhuan dekhun abas hai sochna la-intiha ke bare mein nigahen kyun na jhuka lun jo aasman dekhun bahut qadim hai matruk to nahin lekin hawa jo ret pe likhti hai wo zaban dekhun hai ek umr se khwahish ki dur ja ke kahin main khud ko ajnabi logon ke darmiyan dekhun khayal tak na rahe raegan guzarne ka agar 'malal' in aankhon ko mehrban dekhun