tasawwur kahkashan hota nahin hai to ab mujh se bayan hota nahin hai tadap meri jabin ki badh gai hai magar tu aastan hota nahin hai meri qismat mein hai jalta sitara bikhar ke jo dhuan hota nahin hai meri sanson mein tu atka hua hai tabiat mein rawan hota nahin hai khushi ab bhi mujhe hoti hai lekin wo pahla sa saman hota nahin hai wo dariya hai jahan ek bar guzre wo rasta be-nishan hota nahin hai main us ke sath chalti ja rahi hun jo mera karwan hota nahin hai tujhe ashkon mein main kaise baha dun tu mujh se raegan hota nahin hai mere lafzon mein hai zahir magar tu nigahon se ayan hota nahin hai