sach baat to ye hai jo maza pyar mein aaya us se kahin badh kar hamein izhaar mein aaya ab kaise use qaum ka aaina kahun main kab dard mera surkhi-e-akhbar mein aaya beganon tumhein mil nahin sakta wo jahan mein hum ko jo maza yar ke didar mein aaya sadkon pe mere khun ko bahne se bachane main khud hi kata sar liye darbar mein aaya takhliq-e-ghazal teri mohabbat ka asar hai socha bhi na tha main ne jo izhaar mein aaya 'hadi' kahin tufan ka wo rup na dhaare jo dard mere qalb se ashaar mein aaya