tasawwur mein bahut kin anjuman-araiyan hum ne saliqe se guzarin is tarah tanhaiyan hum ne ajab kya hai jo tum ne waqt ki angdaiyan dekhin badal dali hain aksar waqt ki angdaiyan hum ne wahin par aaj shor-e-nala-o-shewan bapa dekha jahan dekhi thin kal bajti hui shahnaiyan hum ne hazaron kulfaten thin zindagi ki rah mein lekin na padne din gham-o-alam ki parchhaiyan hum ne 'habab' is daur-e-pur-ashob mein qadr-e-hunar kya ho samo kar garche rakh din sher mein gahraiyan hum ne