ta hashr rahe ye dagh dil ka ya-rab na bujhe charagh dil ka hum se bhi tunak-mizaj hai ye pate hi nahin dimagh dil ka yan aatish-e-ishq se shab o roz dahke hai pada ayagh dil ka us rashk-e-chaman ki yaad mein hai shadab hamesha bagh dil ka jine ka maza usi ko hai bas jis shakhs ko ho faragh dil ka hai baada-e-gham se tere din raat labrez yahan ayagh dil ka malum nahin kisi ko 'rangin' de kaun hamein suragh dil ka