tasawwuraat mein dil ki udan dekh zara usi zamin se kabhi aasman dekh zara abhi to jism ke hi ghaw tu ne dekhe hain jo mere dil pe hain wo bhi nishan dekh zara tu is se pahle karen baat ghair sanjida mera mizaj mere qadr-dan dekh zara dhuan bhi ho gaya ab to fazaon se ghaeb kahan hai shahr mein mera makan dekh zara haqir nazron se ai mujh ko dekhne wale mera gharana mera khandan dekh zara zamin phatne ka karti hun intizar 'siya' mera junun mere imtihan dekh zara