ye umr musibat ki basar ho ke rahegi jab sham hui hai to sahar ho ke rahegi afsurdagi-e-dil gul-e-tar ho ke rahegi aah-e-sahari baad-e-sahar ho ke rahegi khud un ke taghaful ki inayat se kisi din un ko meri haalat ki khabar ho ke rahegi wo barq-e-tajalli jo abhi kaba-e-dil hai ek roz wo masjud-e-nazar ho ke rahegi ya qabil-e-sajda hi rahega na dar-e-husn ya meri jabin qabil-e-dar ho ke rahegi sairab nazar hogi meri ya gul-e-tar se ya khatm bahaar-e-gul-e-tar ho ke rahegi ab un ki jafaen nazar-andaz na hongi ab meri wafa madd-e-nazar ho ke rahegi jo ghaflat-e-azadi-e-gulshan mein kategi us raat ki zindan mein sahar ho ke rahegi