tasawwuraat mein in ko bula ke dekh liya zamane bhar ki nazar se chhupa ke dekh liya fasana-e-gham-e-furqat suna ke dekh liya unhon ne sirf mujhe muskura ke dekh liya kabhi kisi ne sar-e-tur ja ke dekh liya kabhi kisi ne kisi ko bula ke dekh liya nigah-e-parda-kusha ka kamal kya kahna jahan jahan wo chhupe us ne ja ke dekh liya kaha tha un ko na bulwao wo na aaenge hamari baat na mani bula ke dekh liya ye kis ke waste aansu bahae jate hain tumhein kisi ne jo us waqt aa ke dekh liya kisi ne bhi na diya sath marne wale ka har ek rafiq pe sab kuchh luta ke dekh liya mizaj-e-husn to ek haal par raha qaem lutane walon ne sab kuchh luta ke dekh liya khushi ki baat hai nikli to hasrat-e-didar karam-nawaz ko sab kuchh luta ke dekh liya rumuz-e-husn junun-ashna rahe warna khirad pukarti jalwe khuda ke dekh liya ghurur-e-husn ki khuddariyan khud aa na saka shua-e-husn ko markaz pe la ke dekh liya kabhi na tum ne mizaj-e-dil-e-hazin puchha bas ab muaf karo aazma ke dekh liya kahin thikana nahin hum qafas-nasibon ka chaman mein rah ke nasheman bana ke dekh liya wafa-shiar wafaon se baz aa na sake unhon ne khwab unhen aazma ke dekh liya siwae aap ke koi na ban saka apna har ek shakhs ko apna bana ke dekh liya tum aa gae dam-e-akhir bada kiya ehsan khata muaf jo tum ko bula ke dekh liya jo dil se aae zaban par wo raaz raaz kahan jo raazdan the unhen bhi bata ke dekh liya janaza dekh ke 'wasil' ka ho gae betab kafan unhon ne bil-akhir hata ke dekh liya