ye bandagi ka sada ab saman rahe na rahe sar-e-niyaz jhuke aastan rahe na rahe tere khayal mein main hun mere khayal mein tu mere baghair teri dastan rahe na rahe kise khabar hai ki har gham mein hai khushi pinhan gham-e-habib salamat ye jaan rahe na rahe nigah khamosh takallum ki raazdan hogi huzur-e-dost ye goya zaban rahe na rahe hamari lash gulistan mein dafn kar sayyaad chaman se dur koi nauha-khwan rahe na rahe wo mujh se is liye kahte hain apne raaz ki baat ki mere baad koi raazdan rahe na rahe sada unhon ne anal-haq ki is liye di thi sada dahan mein tumhaari zaban rahe na rahe main aaj is liye karta hun ehtiram apna hamesha khud pe tumhaara guman rahe na rahe usi ke ishq mein mit kar ke ho gae 'wasil' sabaat usi ko hai apna nishan rahe na rahe