tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai

tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai
eajaz bad mein hai to karamat zatal mein hai

dil mein jo apne yar hai to dil baghal mein hai
phir kyun hai gham ki sahab-e-khana mahal mein hai

kitna ghurur hai tumhein husn-o-jamal par
go yaad-e-yar-e-husn tumhaare amal mein hai

hai yaad dil mein panja-e-rangin-e-yar ki
mehndi ke chor ka guzar apne mahal mein hai

bad-tar khizan se hai hamein is bagh ki bahaar
boi nifaq phul mein hi zahar phal mein hai

lete hain bose un lab-o-gesu ke raat-din
mulk-e-yaman se takhtan apne amal mein hai

munim ye kar-khane hain duniya ke kar na fikr
koi hai jhonpade mein to koi mahal mein hai

jo ban gaya wo pech magar un ke hain wahi
rassi ka bal huzur ki zulfon ke bal mein hai

pahlu mein mujh hazin ke tapakta hai raat-din
yarab ye dil hai ya koi phoda baghal mein hai

itna laziz bagh-e-jahan mein samar hai kaun
jo zaiqa nihaal-e-tamanna ke phal mein hai

hasrat hai hum bhi kahte kisi din ye ai falak
ai dil mubarak aaj to dilbar baghal mein hai

dushnam de ke bose ye kah kah ke dete hain
inam galiyon ke ye nemul-badal mein hai

laya hai rang phir gul-e-dagh-e-junun mera
shayad nuzul-e-nayyar-e-azam hamal mein hai

mujh rind-e-baadah-kash ko ye jo khauf-e-mohtasib
dil ki tarah chhupi hui botal baghal mein hai

bahr-e-sarashk dida-e-dil mein hai maujzan
dekho tilism-e-husn ki dariya kanwal mein hai

ai mai-kasho tumhaari bhi dawat karenge hum
urs-e-janab-e-pir-e-mughan aaj-kal mein hai

sanea ne wo dahan na banaya na kuchh likha
khali jagah nawishta-e-roz-e-azal mein hai

khat bhi diya to qasid-e-ghaflat-shiar ko
nama mera bandha hua bazu-e-shal mein hai

dast-e-junun ne phad ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai

ashkon ke badle khun ke qatre tapakte hain
batti hamare zakhm ki raushan kanwal mein hai

dil phuk raha hai garche hum aaghosh hai wo gul
pahlu mein mere khuld hai dozakh baghal mein hai

bimar-e-ishq kahte hain darushshifa use
aisi hi jo hasin farangi-mahal mein hai

likhna tha jo kuchh aap ko pahle hi likh diya
haal-e-abad bhi daftar-e-roz-e-azal mein hai

pahlu mein dil hamare hai zeb-e-kanar-e-yar
aaghosh mein hai dost to dushman baghal mein hai

wada kiya tha aaj so phir kal pe tal gaya
aakhir hamari maut isi aaj-kal mein hai

lapka pada hai husn-parasti ka kis qadar
jab dekhiye 'qalaq' ko farangi-mahal mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close