tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua jallad mehrban hua kya sabab hua afsos kuchh na meri rihai ka dhab hua chhuta udhar qafas se idhar main talab hua tashrif lae aap jo main jaan-ba-lab hua us waqt ke bhi aane ka mujh ko ajab hua niklegi ab na hasart-e-qatl ai nigah-e-yas qatil ko rahm aa gaya mujh par ghazab hua ho jaega kuchh aur hi rang ahl-e-hashr ka qatil se khun-baha jo hamara talab hua shayad badhain yar ne mannat ki bediyan ab ki mujhe junun na hua kya sabab hua pinhan tamam zulmat-e-kufr-o-sitam hui talea junhi wo mehr-e-siphar-e-arab hua hum dub jaenge araq-e-infial mein aamal-nama hashr mein jis dam talab hua itna to jazb-e-dil ne dikhaya mujhe asar chain us ko bhi na aaya main betab jab hua rote the aql-o-hosh hi ko hum to ishq mein lo ab to dil se sabr bhi rukhsat-talab hua ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin kis din bahaar aai main diwana kab hua shadi shab-e-visal ki matam hui mujhe hangam-e-subh-e-yar jo rukhsat-talab hua bose dikha dikha ke hamein le raha hai ye kyun itna be-lihaz tera khal-e-lab hua kya jaan kar malal diye kab ka tha ghubar kis roz aasman se main rahat-talab hua duniya mein ai 'qalaq' jo pur-arman hum rahe nashad na-murad hamara laqab hua