tasKHir sab nujum-o-mah-o-kahkashan hue

taskhir sab nujum-o-mah-o-kahkashan hue
mujh ko tha wo junun ki nigun do-jahan hue

main zist ke safar mein akeli jo chal padi
azm-o-junun-o-shauq mere karwan hue

dariya to ek pal mein samundar se ja mila
aansu thithak ke aankh mein ek dastan hue

nashshe mein takht-o-taj ke kal tak jo chur the
sach hai lahad mein aaj wahi be-nishan hue

jin pe ba-sad-niyaz jhuka di thi ye jabin
'resham' nuqush-e-pa wo mere aastan hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close