taskin-o-rahm se na to lafz-e-dua se thi jo hum gunahgaron ko kar-e-saza se thi us se bichhad raha hun to kyon ro raha hun main is baat ki khabar to mujhe ibtida se thi ab ke bacha saki na meri khamushi mujhe is bar meri jang kisi ham-nawa se thi dushman hi ek ahl-e-wafa chahte the hum haalanki dosti to har ek bewafa se thi hum ne bhi bar-e-gham ko muqaddar samajh liya kuchh roz tak hamein bhi shikayat khuda se thi jis ke taghafulon ke the charche tamam shahr apni bhi to murad usi bewafa se thi hijr-o-visal donon hi sharton mein tai thi maut hum the charagh hum ko mohabbat hawa se thi