kyun aa gae hain bazm-e-zuhur-o-numud mein aazad mard ho ke rahe hum quyud mein salik hai kyun takhayyul-e-tark-e-wajud mein naqsh-e-suwar ka rang hai tere shuhud mein jo aa gae tajalli-e-tanzih-e-zat mein mahdud kis tariq se honge hudud mein raaz-e-darun-e-parda ze-rindan-e-mast purs salik hai kyun hijab-e-shuhud-o-wajud mein arini o lan-tarani ka sab raaz khul gaya kya nashsha-e-gharib hai sharb-ul-yahud mein ai gul jahan mein jin ko tera ishq ho gaya wo khar se khatakte hain chashm-e-husud mein mashhur-e-khalq jo hai wo maqbul-e-haq nahin kyun ahmaqon ko naz hua hai numud mein taat nahin hai wo ki jo ho be-huzur-e-qalb ai shaikh kya dhara hai ruku-o-sujud mein hai bul-ajab ye zamzama-e-saut-e-sarmadi kis tarah aae mariz-e-guft-o-shunud mein sufi ye sahw mahw hue sadd-e-bab-e-uns kya imbisat kar-gah-e-hast-o-bud mein tar-e-nafas se hai tan-e-khaki basa hua hai ankabut lipti hui tar-o-pud mein sufi yahi hai nur-e-sawad-e-hijab-e-qalb zulmat hui jo sina-e-sozan ke dud mein faiz-e-nigah-e-rahbar-e-kaamil ka hai asar 'saqi' hai mahw taat-e-rabb-e-wadud mein