tassub ki faza mein tana-e-kirdar kya deta munafiq doston ke hath mein talwar kya deta amir-e-shahr to khud zard-ru tha ek muddat se jharoke se wo ahl-e-shahr ko didar kya deta hamare din ko jo deta nahin ek dhup ka tukda hamari raat ko wo chand ka mear kya deta kahin goli kahin gali mohabbat se hai dil khali khabar ye thi to bachchon ko naya akhbar kya deta bahut dushwar hai khuddar rah kar zindagi karna khushamad karne wala sadqa-e-dastar kya deta khud us ka saya bhi us se gurezan hai musibat mein mera ham-saya mujh ko saya-e-diwar kya deta sarae-jaan mein danista musafir lut gaya warna ki dil sa sakht-jaan ek gul-badan ko war kya deta