taswir-e-dost fikr-e-mujassam bani rahi

taswir-e-dost fikr-e-mujassam bani rahi
main us se bolta raha wo sochti rahi

kal shab tasawwuraat ki mahfil saji rahi
jab tak tumhaara zikr raha chandni rahi

shayad samajh rahi thi use bhi koi charagh
jugnu ke pichhe tez hawa daudti rahi

pani ka intizam tha ghairon ke hath mein
yun bhi gharon mein aag hamare lagi rahi

puri hui na sar ko katane ki aarzu
kandhon pe mere dil ki tamanna ruki rahi

phir agli jang ladna magar is shikast mein
ye sochna padega kahan kya kami rahi

thi un ko sirf ek nazar dekhne ki baat
jo harf-e-akhiri ki tarah aakhiri rahi

ulfat mein haar jit ka lagta nahin pata
wo shart jo lagi bhi nahin thi lagi rahi

'saulat' kami tumhaari agar hai to man lo
kab tak yahi kahoge ki qismat buri rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close