taswir-e-iztirab sarapa bana hua phirta hun shahr shahr unhen dhundhta hua ek dard aur wo bhi kisi ka diya hua itna badha ki aap hi apni dawa hua mil kar bichhad gaya tha koi jis maqam par ab tak usi maqam pe hun chup khada hua jaise use khabar thi mere haal-e-zar ki guzra wo is ada se mujhe dekhta hua jin hadsat-e-dahr se bach kar chala tha main har gam par unhin ka mujhe samna hua yun be-dili ke sath suna hum ne 'kazmi' jaise tha kuchh fasana-e-hasti suna hua