tasawwur ke sahaare yun shab-e-gham khatm ki main ne jahan dil ki khalish ubhri tumhein aawaz di main ne talab ki rah mein kha kar shikast-e-agahi main ne junun ki kaamyabi par mubarakbaad di main ne dam-e-akhir bahut achchha kiya tashrif le aae salam-e-rukhsatana ko pukara tha abhi main ne zaban se jab na kuchh yara-e-sharh-e-arzu paya nigahon se huzur-e-husn aksar baat ki main ne nasheman ko bhi ek partaw qafas ka jaan kar 'anwar' basa-auqat ki hai bijliyon ki rahbari main ne