taswir-e-zindagi mein naya rang bhar gae wo hadse jo dil pe hamare guzar gae duniya se hat ke ek nai duniya bana saken kuchh ahl-e-arzu isi hasrat mein mar gae nikla jo qafile se nai justuju liye kuchh dur sath sath mere rahbar gae nairangiyan chaman ki pasheman ho gain rukh par kisi ke aaj jo gesu bikhar gae phuti jo us jabin se inayat ki ek kiran maghmum aarzuon ke chehre nikhar gae har shai se be-niyaz rahe jin mein husn o ishq ai zindagi bata ki wo lamhe kidhar gae ai 'naqsh' kar raha tha jinhen gharq nakhuda tufan ke zor se wo safine ubhar gae