taswir meri hai aks tera tu aur nahin main aur nahin kar ghaur tu apne dil mein zara tu aur nahin main aur nahin tasbih ne jis dam fakhr kiya danon mein wahin dore ko dikha zunnar ne is rishte se kaha tu aur nahin main aur nahin is bagh mein tu ai barg-e-hina hansne pe mere zakhmon ke na ja rone mein lahu khandan hon kya tu aur nahin main aur nahin har ek jawahir besh-baha chamka to ye patthar kahne laga jo sang tera wo sang mera tu aur nahin main aur nahin ai 'shad' mera putla jo bana mil aatish-o-khak-o-ab-o-hawa har chaar anasir ne ye kaha tu aur nahin main aur nahin