tatolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha wo aadmi jo meri dastan tak pahuncha kisi janam mein jo mera nishan mila tha use pata nahin ki wo kab us nishan tak pahuncha main sirf ek khala thi, jahan faza na hawa jab aarzu ka parinda udan tak pahuncha na jaane rah mein kya us pe hadsa guzra ki umr bhar na nazar se zaban tak pahuncha ye kam-nasib bhatakta hua andheron mein kabhi yaqin kabhi phir guman tak pahuncha wo jis mein hadd-e-nazar tak charagh jalte the wo rasta hi faqat darmiyan tak pahuncha