thakan se chur hun lekin rawan-dawan hun main nai sahar ke charaghon ka karwan hun main hawaen mere waraq laut laut deti hain na jaane kitne zamanon ki dastan hun main har ek shahr-e-nigaran samajh raha hai mujhe zara qarib se dekho dhuan dhuan hun main kisi se bhid mein chehra badal gaya hai mera to sare aaina-khanon se bad-guman hun main main apni gunj mein khoi hun ek muddat se mujhe khabar nahin kuchh kaun hun kahan hun main khud apni did se mahrum hai nazar meri azal se surat-e-nazzara darmiyan hun main mera wajud-o-adam raaz hai hamesha se wahan wahan bhi nahin hun jahan jahan hun main