tauba se main KHajil ba-KHuda-e-karim tha

tauba se main khajil ba-khuda-e-karim tha
tark-e-gunah bais-e-jurm-e-azim tha

jannat ka tha khayal na khauf-e-jahim tha
banda qatil-e-khanjar-e-ummid-o-bim tha

hun wo shahid qabr meri chaar-su bane
tha jite ji do-para jigar dil do-nim tha

tifl-e-sarishk nam ko lakht-e-jigar sahi
lekin palak se girte hi goya yatim tha

tifli se tha tere rukh-o-zulf-o-dahan ka ishq
pahla sabaq hamara alif lam mim tha

sab daman-e-haya ki rahin lan-taraniyan
mera ghubar surma-e-chashm-e-kalim tha

qatil khila hai gulshan-e-zakhm-e-dil-o-jigar
shah-par mein tere tir ke faiz-e-nasim tha

hoti namaz-e-qasr yahan kis tarah ada
waiz main but-kade mein tha lekin muqim tha

badla na bakht gardish-e-lail-o-nahaar se
hum to yahi kahenge ki aalam qadim tha

sunta tha kaun teri gali mein meri fughan
har naqsh-e-pa ba-surat-e-gosh-e-samim tha

thokar na khane di hamein sar phodna kuja
'rasikh' ye sach hai sang-e-dar-e-but laim tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close