taufiq agar rahbar-e-manzil nahin hoti mearaj-e-mohabbat kabhi hasil nahin hoti jo soz-e-mohabbat se na ho shoala-ba-daman wo shama kabhi raunaq-e-mahfil nahin hoti jo aankh na ho husn-e-haqiqat ki shanasa wo did-e-rukh-e-yar ke qabil nahin hoti jab tak na bhare rang wafa mani-e-fitrat taswir-e-mohabbat kabhi kaamil nahin hoti dilkash hain kuchh aise rah-e-ulfat ke manazir rahraw ko kabhi khwahish-e-manzil nahin hoti gir padta hun aksar main rah-e-ishq mein jis ja ek marhala hota hai wo manzil nahin hoti na-kaam mohabbat hun main ai 'raaz' to kya gham ye baat bhi har ek ko hasil nahin hoti