taur bigDe hain nigah-e-husn-e-alamgir ke

taur bigde hain nigah-e-husn-e-alamgir ke
kyunki ab jauhar khule hain aah ki tasir ke

wo bhula sakte nahin meri wafaon ko kabhi
naqsh hote hain dilon par shokhi-e-tahrir ke

kahkashan qaus-e-quzah gul najm khurshid-o-qamar
aks hain ye bhi tumhaare husn ki tanwir ke

ab nahin samjhe to kab samjhenge taur-e-dard-e-dil
aise hi hote hain tewar maut ki taswir ke

ishq ki fitrat hi jab minjumla-e-afat hai
kis liye shikwe karen hum katib-e-taqdir ke

kuchh tabassum bhi wahi hai kuchh takallum bhi wahi
pae hain andaz ghunchon ne teri tamir ke

raegan jati rahi har ek koshish ishq mein
past kar dale gae sab hausle tadbir ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close