unki bazm-e-naz ka samjhe nahin dastur hum

un ki bazm-e-naz ka samjhe nahin dastur hum
is liye zabt-e-mohabbat par rahe majbur hum

haif us diwangi par jis se ruswa husn ho
hae wo mahbub jis se ho gae mashhur hum

aankh ko zauq-e-tajalli dil ko irfan-e-kamal
aap ki kis kis inayat ke hue mashkur hum

kuchh badal ai husn ye tarz-e-taghaful kuchh badal
warna phir jari karenge maslak-e-mansur hum

un ke jalwe se ho tabinda nigah-e-shauq agar
zarre zarre ko bana dalenge rashk-e-tur hum

mutmain dil yaad se aankhen tasawwur se nihaal
ab nahin honge halak-e-qismat-e-mahjur hum

'jauhar' is mahaul mein urdu ki khidmat farz hai
yun nahin irfan-e-fan mein zarra bhar mazur hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close