tawil-e-ahd-e-fan hi to wahshat ka hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki tarik raat hai ye ikhtitam-e-sham hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqa hai zehn ka koi khalal nahin ek umr ratjagon ki aziyyat mein kat di ab mere khwab nind ka radd-e-amal nahin kya kya ata-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard ka nemul-badal nahin