agar ek gham ko bhula diya to gham-e-digar ki talash hai na dua ko hath uthe kabhi na mujhe asar ki talash hai wahi zulmaten wahi soz-o-dard magar asar hai juda juda tujhe phir shikayat-e-sham-e-gham mujhe phir sahar ki talash hai jise imtiyaz-e-safar na ho hai wahi alamat-e-gumrahi use karwan mein jagah na do jise rahbar ki talash hai jo dilon ke raaz bata sake mujhe chahiye wo shuur-e-gham jo ufuq ke par bhi ja sake mujhe us nazar ki talash hai meri manzilen mere samne mera zad-e-rah meri nazar koi rahzan ho ki rahbar mujhe ham-safar ki talash hai mera zauq parda-nashin nahin meri kaenat hasin nahin tera husn khub sahi magar mujhe khub-tar ki talash hai