tawil raaton ke ghup andheron ke ba'd nikla hai kya naya din khizan ki zardi se zard hota bujha-bujha sogwar sa din junun ke sahra mein jhulsa-jhulsa sulag-sulag kar guzar raha tha phir abr-alud ishq suraj ko dhak ke thoda bacha gaya din na jaane kitni bujhi ummiden thin dil bhi shab se bujha hua tha kiran jo phuti to jagi aankhon mein surkh doron sa bhar gaya din khushi ke jaisi khushi nahin thi magar the gham sab ghamon ke jaise tha ek muflis ke tute chhappar mein raat jaisa jala bujha din ye raat aati hi is liye hai ki din ki qimat samajh mein aae magar hain kuchh bad-nasib aise ki jin ko sab kuchh mila siwa din mahakne wali hai raat jaise urus mushk-o-hina se mahke shafaq ka sahra utarta hai sahar se dulha bana hua din 'hina' ye shahron ki zindagi ab tadap ke karti hai yaad aksar wo gud si baaten wo sondhi mitti wo ganw wala sukun bhara din