tawil-tar hai safar mukhtasar nahin hota mohabbaton ka shajar be-samar nahin hota phir us ke baad kai log mil ke bichhde hain kisi judai ka dil par asar nahin hota har ek shakhs ki apni hi ek manzil hai koi kisi ka yahan ham-safar nahin hota tamam umr guzar jati hai kabhi pal mein kabhi to ek hi lamha basar nahin hota ye aur baat hai wo apna haal-e-dil na kahe koi bhi shakhs yahan be-khabar nahin hota ajib log hain ye ahl-e-ishq bhi 'akhtar' ki dil to hota hai par in ka sar nahin hota