tayyar bahut mauj rawani ke liye hai

tayyar bahut mauj rawani ke liye hai
lekin koi mushkil kahin pani ke liye hai

logon ne agar mujh pe yahan tang zamin ki
ek aur jagah naql-e-makani ke liye hai

is bab-e-jahan mein ye tera harf-e-shab-o-roz
mohtaj bahut apne maani ke liye hai

jis shahr ka ifraat-e-mohabbat mein tha shohra
mashhur ab us shai ki girani ke liye hai

sunte hue sone pe jo aaega zamana
ek mod mere pas kahani ke liye hai

jalte hue dekha hai kahin sham-e-hawa ko
kafi ye mujhe us ki nishani ke liye hai

jaana hai kahan us ne kisi shakh se jhad kar
aawargi hi barg-e-khizani ke liye hai

begar bana dala hai ek yaad ko tu ne
ye kaam kisi sham suhani ke liye hai

ye khoj jo har dar pe liye phirti hai 'shahin'
ek ghar mein kisi shakl purani ke liye hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close