tum ko hum khak-nashinon ka khayal aane tak shahr to shahr badal jaenge virane tak dekhiye mahfil-e-saqi ka natija kya ho baat shishe ki pahunchne lagi paimane tak us jagah bazm saqi ne bithaya hai hamein hath phailaen to jata nahin paimane tak subh hoti nahin ai ishq ye kaisi shab hai qais o farhad ke dohra liye afsane tak phir na tufan uthenge na giregi bijli ye hawadis hain gharibon hi ke mit jaane tak main ne har-chand bala talni chahi lekin shaikh ne sath na chhoda mera mai-khane tak wo bhi kya din the ki ghar se kahin jate hi na the aur gae bhi to faqat sham ko mai-khane tak main wahan kaise haqiqat ko salamat rakkhun jis jagah radd-o-badal ho gae afsane tak baghban fasl-e-bahaar aane pe wada to qubul aur agar hum na rahe fasl-e-bahaar aane tak aur to kya kahun ai shaikh teri himmat par koi kafir hi gaya ho tere mai-khane tak ai 'qamar' sham ka wada hai wo aate honge sham kahlati hai taron ke nikal aane tak ai qamar subh hui ab to utho mahfil se shama gul ho gai rukhsat hue parwane tak