tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka usi se talluq hai ye jaan-o-tan ka tasawwuf tabaddul hai aadat-e-bad ka tarruf natija hai khulq-e-hasan ka wahi gul shajar hai wahi bostan hai wahi aap hai baghban is chaman ka wo be-kaif-o-kam hai qadim-o-azal se usi se hai ye naqsh-e-dahr-e-kuhan ka tawalla samajh ham-zabani se behtar tashshuq hua ham-dam-o-ham-sukhan ka ram-o-shauq ki bhi ajaib kashish hai bura haal hai aashiq-e-khasta-tan ka jo sirr-e-khafi hai wo ain-e-jali hai khula aaj uqda ye sirr-e-dahan ka lataif mein muzmar hai taswir-e-wahdat ye khalwat mein paida hai lutf anjuman ka nazar bar-qadam hai tariq-e-tasawwur ram-o-shauq jada hai sirr-o-elan ka nihan se ayan hai ayan mein nihan hai ye jada mila hai safar dar-watan ka suluk-e-tariqat hai aafaq-o-anfus ki jalwa hai tanzih mein sim-tan ka wo be-parda bhi parda-posh-e-nazar hai hijab aa gaya hai hamein husn-e-zan ka kabhi shad-o-khandan kabhi zar-o-nalan tamasha hai 'saqi' ke diwana-pan ka