mere shajar tujhe mausam naya banate rahen gulab-e-sabr teri tahniyon pe aate rahen jo doston ki kamanon ko tir deta hai hamein ye zarf bhi bakhshe ki zakhm khate rahen bas ek charagh hai apni mata-e-besh-baha so sham aati rahe hum use jalate rahen sahar ke rang darichon ko sair karte jaen hawa ke jhonke khule aanganon mein aate rahen kabhi kabhi koi suraj tulu hota rahe rida-e-abr mein tare bhi munh chhupate rahen fasil-e-shahr-e-ana rafta rafta girti jae ye zalzale meri jaan mein hamesha aate rahen