taza ho dimagh apna tamanna hai to ye hai us zulf ki bu sunghiye sauda hai to ye hai qainchi nahin chalwai mere nama ne kis par parwar kabutar ho jo anqa hai to ye hai kuchh sarw ka rutba hi nahin qad se tere past shamshad-o-sanobar se bhi baala hai to ye hai milta jo nahin yar to hum bhi nahin milte ghairat ka ab apne bhi taqaza hai to ye hai ai nur-e-nazar moajaza-e-husn se tere andhe bhi kahenge ki masiha hai to ye hai mahshar ko bhi didar ka parda na kare yar aashiq ko jo andesha-e-farda hai to ye hai bina hon jo aankhen to rukh-e-yar ko dekhen nazzara ke qabil jo tamasha hai to ye hai mazmun dahan-e-yar ka kya fikr se nikle la-hal jo moammon mein muamma hai to ye hai gah yaad-e-sanam dil mein hai gah yaad-e-ilahi kaba hai to ye hai jo kalisa hai to ye hai mashuq o mai o khana-e-khali o shab-e-mah aashiq ke liye hasil-e-duniya hai to ye hai diwane na kyun-kar khal-o-zanjir pahante sarkar-e-junun ka jo sarapa hai to ye hai dil ke liye hai ishq to dil ishq ki khatir mai hai to ye hai aur jo mina hai to ye hai diwana-e-qad ke kabhi nalon ko to suniye hangama-e-mahshar ka sa ghaugha hai to ye hai sabit dahan-e-yar dalilon se kar 'atish' hujjat ki jo shaer ke liye ja hai to ye hai