taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim guzar is ahd mein mumkin nahin be-chob-e-kalim aql ayyar hai sau bhes bana leti hai ishq bechaara na mulla hai na zahid na hakim aish-e-manzil hai ghariban-e-mohabbat pe haram sab musafir hain ba-zahir nazar aate hain muqim hai garan-sair gham-e-rahila-o-zad se tu koh o dariya se guzar sakte hain manind-e-nasim mard-e-darwesh ka sarmaya hai aazadi o marg hai kisi aur ki khatir ye nisab-e-zar-o-sim